Friday, April 7, 2023

US, UAE Nay ICC Men's World Cup Kay Qualifier Round Kay Lie Qualify Kar Liya


The United State Of America (USA) Aur The United Arab Emirates (UAE) Ki Cricket Teams Nay ICC World Cup Qualifier Round Kay Liye Qualify Kar Liya Hai. Donu Teams Nay ICC Men's World Cup Qualifier Kay Playoff Main Top Kiya Hai.

6 Teams Ki Darmeyan Khilay Gaye Tournament Main USA Nay 5 Matches Main Say 4 Main Jeet Hasil Ki. UAE Say Age Jis Nay Jersey Ko Shakast Dekar USA Kay Points Ko Barabar Kar Diya.

Mezban Namibia Aur Canada Nay 3,3 Matches Main Jeet Hasil Ki.

Namibia Kay Gerhard Erasmus Nay Tournament Kay Best Batsman Ka Award Apnay Naam Kiya Jis Nay 5 Matches Main 279 Runs 69.75 Ki Average Say Score Kiye . USA Kay Ali Khan Nay Best Bowler Ka Award Jeeta Os Nay 12.37 Ki Average Kay Sath 16 Wickets Hasil Ki.

USA Kay Captain Monank Patel Nay Kaha Kay Zimbabwe Main Honay Wale Qualifier Round Main Jaga Banna Unki Team Aur USA Kay Lie Ek Izaz Ki Baat Hai. Monank Kay Kaha Kay Maine Playoff Say Pehle Bhi Kaha Tha Hamre Pass 10 Months Kay Kam Waqat Main 2 World Cups Khilnay Ka Moqa Hai Hmari Team Aur Management Nay Mehnat Ki Aur Hamein Oska Phal Mil Gaya.

Dosri Janib UAE Kay Captain Nay Kaha Kay Wo Zimbabwe Main Honay Wale Qualifier Kay Select Honay Par Bhut Khush Hein. Tournament Main Maine Team Say Kaha Kay Ap Logu Nay Fairless Cricket Khilni Hai. Mazeed Kaha Kay Wo Apny Players Aur Supporting Staff Ka Bhut Sukur Guzar Hai Jis Nay Sare Tournament Main Hamara Sath Diya. 

USA Aur UAE Baqi 8 Teams Kay Sath Qualifier Tournament Main Khalein Gay Jo Kay 18 June Say 9 July Tak Zimbabwe Main Khila Jae Ga.
 

Thursday, April 6, 2023

"Main Ek Qadam Uthaoun Ga Agar Dobara Bagir Kisi Waja Say Wo Mujhe Team Say Drop Kar Dein GAY" Imad Wasim


Pakistan Cricket Team Maya Naaz All-rounder Aur Bhut He Tajurbakar Left-arm Spin Bowler Imad Wasim Nay Kaha Hai kay Mazi Main Un kay Sath Pakistan Cricket Board (PCB) Nay Na Insafi Ki Hai Mujhe Bagir Kisi Waja Kay Team Say Bahir Rakha Gaya Hai Ab Agar Aisa Hoa Tou Khamosh Nahi Bethay Ga.

Imad Wasim Ko Pakistan Cricket Team Say T20 World Cup Kay Baad Drop Kiya Gaya Tha March Main Afghanistan Kay Khilaf T20 Series Main Pakistan Super League (PSL) 8 Ki KarKardagi Pay Use Team Main Shamil Kiya Gaya.

Ek Tv Channel Ko Interview Detay Hoe Imad Wasim Nay Kaha Kay Os Nay Apna Faisla Allah Pay Chor Diya Tha Aur Ose Yaqeen Tha Wo Team Main Wapsi Zaror Karin Gay.

Imad Nay Kaha Kay Main Apna Case Allah Ki Court Main Rakha Aur Mujhe Apni Kabliyat Pay Yaqeen Aur Dunia Meri Game Dekh Chuki Hai. Imad Nay Kaha Kay Selector Unko Drop Karne Ka Koi Reason Bhi Nahi Bata Rahe Thay Aur Unko 1/2 Saal Tak Team Say Bahir Rakha Gaya.

Lekin Ab Wo Aisa Honay Nahi Dein Gay Ab Agar Mujhe Team Say Drop Kiya Gaya Tou Main Action Lunga Is Time Main Apnay Career Ki Best form Main Hoon Aur Main Bagir Kisi Waja Say Team Say Bahir Nahi Beth Sakta Imad Wasim Nay Kaha.

Imad Wasim Nay Pakistan Super League (PSL)8  Main Behtreen Khel Ka Muzahera Kiya Tha Lekin Bad Qismati Say Team Ki performance Ki Waja Say Tournament Nahi Jeet Sakay, Imad Nay PSL Main 404 Score Kiya Thay Aur 9 Batsman Ki Out Bhi Kiya Tha.

 

Wednesday, April 5, 2023

Babar Azam Aur Muhammad Rizwan Ki Pakistan Cricket Team Main Wapsi , PCB Nay NZ Kay Khilaf Pakistani Team Ka Announce Kar Diya

 



Pakistan Cricket Board (PCB) Nay New Zealand Kay Khilaf T20 Aur ODIs Home Series Ki Teams Ka Ilan Kar Diya Hai.

Pakistan Cricket Team Kay Mustakil Captain Babar Azam Aur Unkey T20 Matches Kay Opening Partner Muhammad Rizwan Ki Team Main Wapsi Hoe Hai Jinko Afghanistan Kay Khilaf T20 Series Main Rest Diya Gaya Tha. 

Left-arm Pacer Shaheen Shah Afridi Ki Bhi 4 Months Baad Team Main Wapsi Hoe Hai. Shaheen Nay ICC Men's T20 World Cup Kay Baad England Aur New Zealand Kay Khilaf 5 Test Aur 3 ODIs Ki Series Miss Ki Thi. Wo T20 World Main Knee Injure Ka Shikar Ho Gaye Thay.

Left-Handed Opener Fakhar Zaman Aur Fast Bowler Haris Raouf Ki Bhi Team Main Wapsi Hoe Hai.

T20 Aur ODIs Squad:

T20: Babar Azam (Captain), Shadab Khan (Vice-Captain), Faheem Ashraf, Fakhar Zaman ,Haris Raouf, Iftikhar Ahmed, Ihsan Ullah, Imad Wasim, Muhammad Haris, Muhammad Nawaz, Muhammad Rizwan, Naseem Shah, Saim Ayoub, Shaheen Shah Afridi, Shan Masood And Zaman Khan.

ODI: Babar Azam (Captain), Shadab Khan (Vice-Captain), Abdullah Shafique, Fakhar Zaman, Haris Raouf, Haris Sohail, Ihsan Ullah, Imam-UL-Haq, Muhammad Nawaz, Muhammad Rizwan, Muhammad Wasim Jnr, Naseem Shah Salman Ali Agha, Shaheen Shah Afridi, Shan Masood And Usama Mir.

RESERVES: Abbas Afridi, Tayyab Tahir and Abrar Ahmed.


Series Schedule T20 starts 9:00PM And ODIs Start 3:30PM

14 Apr –1st T20I, Lahore

15 Apr – 2nd T20I, Lahore

17 Apr – 3rd T20I, Lahore

20 Apr – 4th T20I, Rawalpindi

24 Apr – 5th T20I, Rawalpindi

27 Apr – 1st ODI, Rawalpindi

29 Apr – 2nd ODI, Rawalpindi

3 May – 3rd ODI, Karachi

5 May – 4th ODI, Karachi

7 May – 5th ODI, Karachi




Tuesday, April 4, 2023

Pakistan India World Cup Khilnay Nahi Jae Ga Agar India Pakistan Main Asia Cup Khilnay Nahi Aae Ga - Moin Khan


Pakistan Kay Former Wicket Keeper Batsman Aur 92 World winning Team Ka Member Moin Khan Nay Pakistan Cricket Board (PCB) Ko Kaha Hai Kay Wo Apnay Moaqif Ka Barpoor Difa Karein Ku K Asia Cup Pakistan Say Bahir Nahi Jana Chahiye Agar Indian Cricket Board Apni Team Ko Pakistan Main Cricket Khilnay Ki Ijazat Nahi Deta Hai Tou PCB Bhi World Cup Kay Liye Team Nahi Bhje.

Monday Kay Din Media Say Baat Kartay Hoe Moin Khan Kaha Kay PCB Aur BCCI Ko Mil Kar In Issue Ko Solve Karna Chahiye.

Moin Kaha Nay Kaha Kay Indian Paise Kay Zoor Pay Kisi Board Ko Majboor Nahi Kar Sakta Aur Na He Apni Marzi Chala Sakta Hai Cricket Kay Faisle India Aur Pakistan Kay Board Karin Na Kay Indian Hukumat Ko Karna Chahiye.

Agar Indian Cricket Team Pakistan Asia Cup Khilnay Nahi aati Tou Pakistan Ko Bhi Indian World Cup Khilnay Nahi Jana Chahiye Moin Khan Nay Kaha.

Agar India Neutral Venue Pay Khilna Chahati Hai Tou Pakistan Ko Bhi Neutral Venue Pay Khilna Chahiye.

Yaad Rahe Kay Pechle Saal October Main Pakistan Cricket Board Nay Kaha Tha Agar India Apni Team Pakistan Nahi Bhje Ga Tou Pakistan Bhi India Main World Khilnay Nahi Jae Ga.

Abhi Tak Donu Countries Main Deadlock Barkarar Hai Aur Kai Options Samne Aarahe Hein ICC Nay Bhi Abhi Tak Koi Hatmi Faisila Nahi Kiya Aur Na He Neutral Venues Ka Ilan Kiya Hai.

 

Sunday, April 2, 2023

Sri Lanka Nay New Zealand Kay Khilaf Pehla T20 Match Shakhat Muqabale Kay Baad Super Over Main Jeet Liya

By AFP     April 02,2023



Sri Lanka Nay New Zealand Kay Khilaf Jari T20 Series Kay Pehle Match Main Dilchasp Muqabilay Kay Baad Super Over Main Match Apny Naam Kar Liya. Is Kay Sath Sri Lanka Nay Tour Ki Pehli Fatah Bhi Hasil Ki.

Auckland Eden Park Honey Wale Pehle T20 Match Main Sri Lanka Nay Pehle Batting Karte Hoe 196 Runs Banae Jawab Main New Zealand Nay Batsman Ish Sodhi Nay Akhiri Ball Pay Chaka Laga Match Tie Kar Diya.

New Zealand Nay Super Over Main Sirf 8-2 Score Kiye Sri Lanka Ki Taraf Say Mahesh Theekshana Nay Super Main Bowling Ki Baad Main Charith Asalanka Nay Six Aur Four Laga Kar Match Khatam Kar Diya.

Sri Lanka Kay Is Ek Month Lambe Tour Main Ye Unki Pehli Kamyabi Thi. Is Say Pehle Wo Test Series Aur ODI Series Donu 2-0 Say New Zealand Say Haar Chuke Thay. Jeet Kay Baad Sri Lanka Kay Khiladi Bhut Kush Nazar Aae.




Saturday, April 1, 2023

Kane Williamson Indian Primer League (IPL) Say Bahir Ho Gaye


Indian Media Reports Kay Mutabiq New Zealand  Cricket Team Kay Captain Aur MayaNAz Batsman Kane Williamson Jo Indian Primer League Main Gujrat Titans Ki Taraf Say Khel Rahe Thay. Apnay Pehle He Match Main Knee Injure Ka Shikar Ho Gaye Hein Aur Wo Baqi IPL Kay Match Nahi Khel Sakein Gay.

Kane Williamson Jo Pakistan Aur Sri Lanka Kay Khilaf White Ball Cricket Series Say Dastbardar  Ho Gaye Thay Wo Friday Ko Apni CSK Kay Khilaf Match Kay Doran Boundary Bachatay Hoe Knee Injure Ka Shikar Ho Gaye Hein.

Senior Indian Journalist Vikrant Gupta Nay Bhi Twitter Pay Confirm Kiya Kay Kane Williamson Ab Gujrat Titans Ko Mazeed IPL Matches Kay Liye available Nahi Hunge.

Magar Gujrat Titans Nay Abhi Tak Koi Official Statement Nahi Diya Aur Na He Replacement Announce Kiya Hai.  

 


 

Friday, March 31, 2023

SARFARAZ AHMED NAY MUHAMMAD AAMIR KO SHAHEEN SHAH AFDRIDI SAY BARA BOWLER KARAR DAY DIYA


Pakistan Cricket Team Kay Sabiq Kaptan Aur Test Cricketer Sarfaraz Ahmed Nay Ek Interview Main Kaha Kay Muhammad Amir Shaheen Shah Afridi Say Zayada Tajurbakar Bowler Hein.

Champion Trophy Winning Captain Nay Mazeed Kaha Kay Wo Apni Top List Main Shaheen Shah Afridi Ki Jagha Muhammad Amir Ka Intekhab Karin Gay Ku Kay Muhammad Amir Kay Pass Shaheen Shah Afridi Say Zayada Skills Hein Aur Wo Shaheen Shah Afridi Say Zayada Qabil Bowler Hein.

Wicket Keeper Batsman Nay Kaha Kay Muhammad Amir Is Waqat International Cricket Say Retire Ho Chuke Hein Agar Wo Khel Rahe Hotay To Wo Shaheen Shah Afridi Ki Jagha 30 Saala Muhammad Amir Ko Apni List Main Top Pay Rakhtay OS Kay Baad Shaheen Shah Afridi Ko Apni List Main Rakhtay. 

Is Main Koi Shaq Nahi Kay Shaheen Shah Afridi Nay International Cricket Main Apnay Ap Ko Manwaya Hai Balkay Wo Is Time Pakistan Cricket Team Behtreen Bowler Bhi Hein.

22 Saal Kay Fast Bowler Shaheen Shah Afridi Ki Captani Main Lahore Qalandar Nay 2 Martaba PSL (Pakistan Super League) Ka Tittle Apnay Naam Kiya Hai.

2019 Kay Cricket World Cup Main Shaheen Shah Afridi 5 Wickets Lenay Wale , World Cup History Main  Nojawan Tareen Bowler Thay Unhun Nay Yeah Ihzaz Bangladesh Kay Khilaf Match Main 6/35 Runs De Kar  Hasil Kiya.





 

Sunday, May 22, 2022

SEWAG KO ICC SAY ZAYADA MALOOMAT HAI ? MERE BARE MAIN SOCH SAMJH KAR BOLE--- SHOIAB AKHTAR NAY SEWAG KO KHARI KHARI SUNA DE

SEWAG KO ICC SAY ZAYADA MALOOMAT HAI ? MERE BARE MAIN SOCH SAMJH KAR BOLE--- SHOIAB AKHTAR NAY SEWAG KO KHARI KHARI SUNA DE




Rawalpindi Express kay nam say mashoor Pakistan cricket team kay sabiq fast bowler shoaib akhtar nay verandar sewag ki janib say un kay bowling action ko ghair kanoni qarar denay par mouh torr jawab diya  hai .

Ek Sports Site ko inteview Detay hoe 46 saala sabiq speed star shoaib akhtar nay kaha hai k agar verander sewag ko ICC say zayada Maloomat hai to alag baat Hai warna ose aise baat nhi karni chahiye thi.

  

Shoaib Akhtar nay kay verandar sewag ko mera action ghair kanoni lagta hoga lekin Pakistan or India main aur kc ko bhi aisa nhi lag. mere bowling action ko ICC nay clear kar diya tha. unhon nay kaha kay meri rai sewag kay bare main bilkul different hai. wo ek behtreen player thy or kai bar apny country kay lie match wining innings bhi kheli hen main unk achi nazar say dekhta hoon aur unki zaati khayal say mujhe fark nhi parta.

Shoaib Akhtar nay mazeed kaha kay apni age kay os stage pay hoon jahan pay main apny khayalat ka izhar soch samjh kar karta hoon.




Shoaib Akhtar nay kaha kay sewag aksar aise baat keh jatay hen lekin wo unkay achay dost bhi hen, speed star nay kaha kay maine sewag kay ilzamat nhi suuny , meri hamesha kosish hoti thi out karu na karu player ko injur karu. speed star nay kaha kay main chahata hoon kay main apny bayan say pakisatn aur india kay taluk ko behtar karu, main Pakistan ka qoumi hero hoon is liye sewag meray bare main soch samjh kar bole - unhoun kaha kay Indian cricketer ki janib say Bangladesh ko baap or betay ki example dena meray khayal main na-munsib rawaya tha.



Friday, November 5, 2021

شعیب ملک نے اپنے کیریئر کے متعلق کیا کہا

 شعیب ملک نے کہا کہ انکی خواہش ہے کہ پاکستان کرکٹ ٹیم اس کے ریٹائر ہونے سے پہلے ٹی ٹونٹی ورلڈ کپ جیتے ۔شعیب ملک نے ان خیالات کا اظہار یو اے ای میں میں ایک ویڈیو پیغام میں کیا۔ انہوں نے مزید کہا کہ ہو سکتا ہے یہ ورلڈ کپ انکا آخری ھو اس لیے ان کی خواہش ہے کہ وہ اپنا کیریئر کا اختتام ورلڈ کپ جیت کر کرنا چاہتے ہیں 


Monday, December 16, 2019

TEST CRICKET RETURN TO PAKISTAN

Test Cricket Return To Pakistan😍😍😍



It is good news for cricket supporters in Pakistan after a long almost 11 years wait come to end when Sri Lankan Team landed here for playing test series. After the attack on Sri Lankan Team in Lahore international cricket doors was closed for Pakistan. Pakistan was playing there home at Dubai and united Arab Emirate. Even PSL 3 Seasons where played in other country. Slowly slowly Pakistan convinced other countries that Pakistan in cricket lovers country come play with us in our country it is safe country we should give you every kind of security as a state guest. Now slowly some countries has come first Zimbabwe after that World eleven ,west indies , srilanka .And PSL complete edition will be held here in Pakistan in which so many international player are coming.Pakistan is a peace ful country and cricket loving country. Sri Lankan played there test at Rawalpindi Because of rain that test end with no result on one innings played by both teams. From Pakistan side there was two debuts one Abid Ali and other Usman Shenwari . Abid Ali made his maiden hundred on debut. He is only International player who made hundred on debut in TEST and ODI cricket      


Sunday, November 3, 2019

Sports World: پاکستان بمقابلہ آسٹریلیا ٹی ٹوئنٹی سیریز کا پہلا م...

Sports World: پاکستان بمقابلہ آسٹریلیا ٹی ٹوئنٹی سیریز کا پہلا م...: پاکستان بمقابلہ آسٹریلیا ٹی ٹوئنٹی سیریز کا پہلا میچ سڈنی کرکٹ گراونڈ میں کھیلا گیا ۔جو بارش کی وجہ سے  بغیر کسی نتیجے کے ختم ھوا۔ آسٹریل...

US, UAE Nay ICC Men's World Cup Kay Qualifier Round Kay Lie Qualify Kar Liya

The United State Of America (USA) Aur The United Arab Emirates (UAE) Ki Cricket Teams Nay ICC World Cup Qualifier Round Kay Liye Qualify Kar...